Follow Me

Close

Tere chehare se har Noor churalu,
Chura k duniya se tujhe apna banalu.
Teri khubsurati ko ab Baya Kya kru,
Ji krta hi tujhe sabase chhupa k apne dil me Basa lu.

Poonam ki raat me chand si lagati ho,
Bin saje v dulahan si lagati ho.
Kaise rah paunga dur tujhse,
Tu mujme ruh si samai he.

Tu Chandani to chakor hu mai,
Tu Ishak to ashiqui hu mai.
Bepanah hai mohabat tujse,
agar tu din to din ka Ujala hu mai.

Kisi ki berukhi ne awara bana diya,
Or Kisi ki chahat ne jina sikha diya.
in dono se Achha to maykhana nikla,
jisne har gum ko bhulakar ke jindagi hasin bana diya.

Tera gurur hi tujhe rulayega,
Khilta chehara bhi ek din murjhayega.
Tu har pal jawa nhi rhogi,
Or budhape me meri mohabat ki yaad tujhe satayegi.

Hum itne bhi bure na the jo Tum Chhod gaye,
Khilona sa jo Mujhe tod gaye.
Hum tab bhi tanha the Es jamane me,
Kya hua jo Tum or tanha Kar gaye.

Kuch yuhi bekhabar hone lage Hum Es duniya se,
Kyuki ab tumne najar jo Badal li.
Hume Sahara tha ek tera aaj tune use bhi Chhin li.
Ab rah k mai kaunsa tajmahal banaunga,
tere dusaro ke Baho me Jane se Pahale mai Es duniya se Chala jaunga.
Kyuki yaha koi fariyad Nahi sunata,
Dil ki koi baat Nahi sunta.
Sab lage khud ko ajmane me,
Or koi humari Parwah nhi Karta.
Janam to Hajaro liye jinka koi Wajood nhi,
Bus ab tu itna Jan le tere Bina bhi Mujhe Jine ka koi Khayal nhi.

Har chahre ka didar Ho aisa jaruri to nhi…
Har full Khushbu Dar Ho aisa jaruri to nhi…
Muskurahat to har hotho pe he,
Per ye pyar ka ahsas Ho aisa jaruri to nhi….

Mohabat me har Sham ranging lagti he,
chahe koi kitna bhi door ho per dil ke krib lagti he.
Lakh gam ho jindagi me fir bhi,
Ankhe num or hotho pe khusiyon ki jam rahti he.

Tu keh de to mai sab kuch kar Jaun,
Tere har Lafaj pe mai mar Jaun.
Besak tu dur hai aaj humse,
Per ek bar tu apne dil se Pukar ke dekh,
Sare tufano se lad k tere dil me bas jaun.